Shailendra Singh

Shailendra Singh - Pari Ho Aasmani Tum songtekst

Je score:

sh: haaN aa aa aa

kyaa ishq ne samjhaa hai, kyaa husn ne jaanaa hai 

ham Khaak nashinoN ki Thokar mein zamaanaa hai 

pari ho aasmaani tum, magar tum ko to paanaa hai - 4

haaN pari ho aasmaani tum magar tum ko to paanaa hai

muhabbat kaise karte hain, haaN muhabbat kaise karte hai

zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai 

chorus: zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai 

sh: haaN.. aa.. mohabbat kaise karate hain 

chorus: karte hain kaise mohabbat 

sh: haaN haaN mohabbat kaise karte hain 

chorus: karte hain kaise mohabbat 

sh: kaise karte hain mohabbat, dikhaanaa hai

chorus: dikhaanaa hai 

sh: dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai 

chorus: zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai 

sh: pari ho aasmaani tum magar tum ko to paanaa hai 



aa: aa aa.. usne kahaa tu kaun hai

sh: maine kahaa shaidaa teraa

aa: usne kahaa taktaa hai kyaa

sh: maine kahaa soorat teri 

aa: aa.. aa.. usne kahaa kyaa chaahiye

sh: maine kahaa ulfat teri

usne kahaa mumkin nahi, maine kahaa yuN hi sahi 

chorus: usne kahaa mumkin nahi, maine kahaa yuN hi sahi 

sh: ho meri tamannaa dilbar jaanaa khel nahin hai

chorus: ishq hai

sh: arrey saaye mein talvaar ke aanaa khel nahin hai

chorus: ishq hai

sh: yuN hosh gaaNvaanaa chorus: ishq hai

sh: ye haal banaanaa chorus: ishq hai 

sh: is dar tak aanaa chorus: ishq hai

sh: aavaaz lagaanaa chorus: ishq hai 

sh: yuN hosh gaNvaanaa ye haal banaanaa is dar tak aanaa sadaa lagaanaa

chorus: ishq hai sh: ishq hai.. 

ishq vo nagmaa sun ke jise arrey ishq vo nagmaa sun ke jise 

mahloN ke parde jalte hain 

chorus: mahloN ke parde jalte hain 

sh: aji ishq vo nagmaa sun ke jise sun ke jise vo nagmaa

sun ke jise, sun ke jise mahloN ke haaN haaN mahloN ke parde jalte hain 

jalte hain jalte hain jalte hain jalte hain 

tum to chale aaoge, eji tum to chale aaoge, aise

aag pe jaise chalte hain -2

aa: aag pe jaise chalte hain 

haaN.. ( karo na meharbaani tum magar tum ko to paanaa hai ) -2 

mohabbat kaise karte hain, haaNji mohabbat kaise karte hain

zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai 

chorus: zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai 



aa: aa aa aa.. aa aa...

sh: laayaa thaa main daave zigar, tumne to dekhaa bhi nahin 

aayaa thaa main kis pyaar se, tumne to poochhaa bhi nahin 

*hummming of puchho na yaar kyaa hua*

la la la la la, lala lala lala lala la la la

re re re ni dha, re ga re ga re ga, re ga pa ga



aa: aa aa aa..

sh: patthar lagaa jab qais ko, mashhoor-e-aalam ho gayaa 

chorus: patthar lagaa jab qais ko, mashhoor-e-aalam ho gayaa 

sh: zakhmi huaa farhaad to, duniyaa mein maatam ho gayaa 

chorus: zakhmi huaa farhaad to, duniyaa mein maatam ho gayaa 

sh: ho meraa zakhm koi kyaa jaane jo seene ke neeche hai

aa: aahaa

sh: mujhpe teer chalaane vaalaa to parde ke peechhe hai 

vo pardaa nashin hai chorus: parade mein 

sh: vo zohraa jabin hai chorus: parade mein 

sh: vo sabse hasin hai chorus: parade mein 

sh: vo aaj yahin hai chorus: parade mein 

sh: vo pardaa nashin vo zohraa jabin vo sabse hasin vo aaj yahin hai 

chorus: parde mein

aa: aa aa aa aa..

sh: ab dikhlaaye jo bhi nazar, aji ab dikhlaaye jo bhii nazar 

vo aaj deevaanaa dekhegaa koras: vo aaj diivaanaa dekhegaa 

sh: ab dikhalaaye jo bhi nazar jo bhi nazar dikhlaaye 

jo bhi nazar, jo bhi nazar dikhlaaye haaN deevaanaa aaj dekhegaa 

dekhegaa dekhegaa dekhegaa dekhegaa dekhegaa

phir jab meri shaam sajegi, arrey phir jab meri shaam sajegi 

saaraa zamaanaa dekhegaa saaraa zamaanaa dekhegaa 

chorus: saaraa zamaanaa dekhegaa 

sh: haaN.. chhupo ai yaar jaani tum magar tum ko to paanaa hai

haaN chhupo ai yaar jaani tum magar tum ko to paanaa hai

mohabbat kaise karte hain, haaNji mohabbat kaise karte hain

zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 

chorus: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 

sh: pari ho aasmaani tum magar tum ko to panaa hai

chorus: haaN (paanaa hai tum ko paanaa hai) -4

aa: ho pari ho aasmaani tum magar tum ko to paanaa hai

chorus: (paanaa hai tum ko paanaa hai) -2

sh: mahjabin haay chorus: aahaa

sh: naazanin haay chorus: aahaa

sh: mahjabin chorus: naazanin

sh: aahaa, mahjabin chorus: ai hasin

sh: mahjabin naazanin ai hasin tum ko to paanaa hai

chorus: paanaa hai, tumko to paanaa hai -4

sh: mohabbat kaise karte hain -2 

zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 

chorus: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai
Vind dit lied op:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Auteur: ?

Componist: ?

Publisher: ?

Details:

Taal: Estisch

Deel je mening

Dit formulier wordt beschermd door reCAPTCHA en de Google Privacy Policy en Servicevoorwaarden zijn daarbij van toepassing.

0 Reacties gevonden