Shailendra Singh
Shailendra Singh - Pari Ho Aasmani Tum lyrics
Your rating:
sh: haaN aa aa aa kyaa ishq ne samjhaa hai, kyaa husn ne jaanaa hai ham Khaak nashinoN ki Thokar mein zamaanaa hai pari ho aasmaani tum, magar tum ko to paanaa hai - 4 haaN pari ho aasmaani tum magar tum ko to paanaa hai muhabbat kaise karte hain, haaN muhabbat kaise karte hai zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai chorus: zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai sh: haaN.. aa.. mohabbat kaise karate hain chorus: karte hain kaise mohabbat sh: haaN haaN mohabbat kaise karte hain chorus: karte hain kaise mohabbat sh: kaise karte hain mohabbat, dikhaanaa hai chorus: dikhaanaa hai sh: dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai chorus: zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai sh: pari ho aasmaani tum magar tum ko to paanaa hai aa: aa aa.. usne kahaa tu kaun hai sh: maine kahaa shaidaa teraa aa: usne kahaa taktaa hai kyaa sh: maine kahaa soorat teri aa: aa.. aa.. usne kahaa kyaa chaahiye sh: maine kahaa ulfat teri usne kahaa mumkin nahi, maine kahaa yuN hi sahi chorus: usne kahaa mumkin nahi, maine kahaa yuN hi sahi sh: ho meri tamannaa dilbar jaanaa khel nahin hai chorus: ishq hai sh: arrey saaye mein talvaar ke aanaa khel nahin hai chorus: ishq hai sh: yuN hosh gaaNvaanaa chorus: ishq hai sh: ye haal banaanaa chorus: ishq hai sh: is dar tak aanaa chorus: ishq hai sh: aavaaz lagaanaa chorus: ishq hai sh: yuN hosh gaNvaanaa ye haal banaanaa is dar tak aanaa sadaa lagaanaa chorus: ishq hai sh: ishq hai.. ishq vo nagmaa sun ke jise arrey ishq vo nagmaa sun ke jise mahloN ke parde jalte hain chorus: mahloN ke parde jalte hain sh: aji ishq vo nagmaa sun ke jise sun ke jise vo nagmaa sun ke jise, sun ke jise mahloN ke haaN haaN mahloN ke parde jalte hain jalte hain jalte hain jalte hain jalte hain tum to chale aaoge, eji tum to chale aaoge, aise aag pe jaise chalte hain -2 aa: aag pe jaise chalte hain haaN.. ( karo na meharbaani tum magar tum ko to paanaa hai ) -2 mohabbat kaise karte hain, haaNji mohabbat kaise karte hain zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai chorus: zamaane ko dikhaanaa hai, zamaane ko dikhaanaa hai aa: aa aa aa.. aa aa... sh: laayaa thaa main daave zigar, tumne to dekhaa bhi nahin aayaa thaa main kis pyaar se, tumne to poochhaa bhi nahin *hummming of puchho na yaar kyaa hua* la la la la la, lala lala lala lala la la la re re re ni dha, re ga re ga re ga, re ga pa ga aa: aa aa aa.. sh: patthar lagaa jab qais ko, mashhoor-e-aalam ho gayaa chorus: patthar lagaa jab qais ko, mashhoor-e-aalam ho gayaa sh: zakhmi huaa farhaad to, duniyaa mein maatam ho gayaa chorus: zakhmi huaa farhaad to, duniyaa mein maatam ho gayaa sh: ho meraa zakhm koi kyaa jaane jo seene ke neeche hai aa: aahaa sh: mujhpe teer chalaane vaalaa to parde ke peechhe hai vo pardaa nashin hai chorus: parade mein sh: vo zohraa jabin hai chorus: parade mein sh: vo sabse hasin hai chorus: parade mein sh: vo aaj yahin hai chorus: parade mein sh: vo pardaa nashin vo zohraa jabin vo sabse hasin vo aaj yahin hai chorus: parde mein aa: aa aa aa aa.. sh: ab dikhlaaye jo bhi nazar, aji ab dikhlaaye jo bhii nazar vo aaj deevaanaa dekhegaa koras: vo aaj diivaanaa dekhegaa sh: ab dikhalaaye jo bhi nazar jo bhi nazar dikhlaaye jo bhi nazar, jo bhi nazar dikhlaaye haaN deevaanaa aaj dekhegaa dekhegaa dekhegaa dekhegaa dekhegaa dekhegaa phir jab meri shaam sajegi, arrey phir jab meri shaam sajegi saaraa zamaanaa dekhegaa saaraa zamaanaa dekhegaa chorus: saaraa zamaanaa dekhegaa sh: haaN.. chhupo ai yaar jaani tum magar tum ko to paanaa hai haaN chhupo ai yaar jaani tum magar tum ko to paanaa hai mohabbat kaise karte hain, haaNji mohabbat kaise karte hain zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai chorus: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai sh: pari ho aasmaani tum magar tum ko to panaa hai chorus: haaN (paanaa hai tum ko paanaa hai) -4 aa: ho pari ho aasmaani tum magar tum ko to paanaa hai chorus: (paanaa hai tum ko paanaa hai) -2 sh: mahjabin haay chorus: aahaa sh: naazanin haay chorus: aahaa sh: mahjabin chorus: naazanin sh: aahaa, mahjabin chorus: ai hasin sh: mahjabin naazanin ai hasin tum ko to paanaa hai chorus: paanaa hai, tumko to paanaa hai -4 sh: mohabbat kaise karte hain -2 zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai chorus: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai