Lata Mangeshkar

Lata Mangeshkar - Yeh Hai Geeta Ka lyrics

Your rating:

aa~

karmanye wadika raste

maa phale shukla jan

karam kiye jaa phal ki ichha mat kar aye insaan

jaise karm karega waise phal dega bhagwaan

yeh hai geeta ka gyan - 6

karam kiye jaa phal ki ichha mat kar aye insaan

jaise karm karega waise phal dega bhagwaan

yeh hai geeta ka gyan - 6



iss prani ka kashta durr karo maharaj

yeh kaun hai devi kya kashta hai isse

roopchand hai reshamwala kapde ka vyopari

bees baras tak saath rehkar bhaag gayi iski naari

aur agar woh saath mein rehti marr jaati bechari

pati dev ke mann bhaai thi baala ek kanwari

pati bana patni ka dushman sankat mein thi jaan

jaise karm karega waise phal dega bhagwaan

yeh hai geeta ka gyan - 6



gurudev iss kanya ka mukhada toh bhola bhala hain kintu

kintu kintu kya 

mrugnaini ke chanchal baala mann mein liye udaasi

dukh ke andar dabi hui hai sukh ki hai abhilashi

kisike ghar ki raajkumari bani kisiki daasi

majboori ke aankh mein aansu palken phir bhi pyaasi

pal pal dhoye armaanon ke gangajal se traan

jaise karm karega waise phal dega bhagwaan

yeh hai geet ka gyan - 6



aap toh gyani hai antaryaami hai batayiye na maharaj

kya devi

kaunsi duwidha aapki charnon mein inn ko le aayi

kis chinta mein magan hai dono kyon aankhen pathraai

yeh mare hue hai ya jeevit

yeh marnewale hai devi inka ant nikat hai

tathasthu

in dono drushto ne milke kaisi chaal chalaai

ek kansa mama ban baitha ek duryodhan bhai

krishna kans ka todega phir kalyug mein abhimaan

jaise karam karega waise phal dega bhagwaan

yeh hai geet ka gyan - 6



haay gurudev yeh main kya dekh rahi hu

jinke darshanon ko duniya tarasti ahi swayam darshan dene aa rahe hai

pahucha hua hai saadhu kya kya chamatkar dikhaye

bholi janta bole ishwar roop badalke aaye

yeh janta ki bhul hai devi yeh mahapaapi hai ghor apraadhi

ved shashtro ki bhasha yeh dhongi kya jaane

yeh pooja karwaye apani prabhu ko kya jaane

yeh saadhu ke bhes mein daaku roj pakhand rachaye

rishiyon ko badnaam kare santon pe daag lagaye

din mein daake daale paapi raat mein katal karaye

sach bole sanyasi iska kabhi na ho kalyan

jaise karam karega waise phal dega bhagwaan

yeh hai geet ka gyan - 6

karam kiye jaa phal ki ichha mat kar aye insaan

jaise karm karega waise phal dega bhagwaan

yeh hai geeta ka gyan - 6
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Language: languages.aa

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found