Shankar Mahadevan

Shankar Mahadevan - Taare Zameen Par songtekst

Je score:

Dekho inhein yeh hain os ki boondein

patton ki god mein aasmaan se koodein

aandayee lein phir karwat badal kar

nazuk se moti hans de phisal kar



kho na jaaye ye taare zameen par



yeh to hain sardi mein dhoop ki kirane

utarein jo aangan ko sunhera sa karne

mann ke aandheron ko roshan sa kar dein

thithurti hatheli ki rangat badal dein



kho na jaaye ye taare zameen par



jaise aankhon ki dibiya mein nindiya

aur nindiya mein meetha sa sapna

aur sapne mein mil jaaye farishta sa koi

jaise rangon bhari pichkari

jaise titliyan phoolon ki kyari

jaise bina matlab ka pyara rishta ho koi



yeh to aasha ki lehar hain

yeh to ummeed ki sehar hain

khusiyon ki nehar hain



kho na jaaye ye taare zameen par



dekho raaton ke seeney pe yeh toh

jhilmil kisi lau se ugey hain

yeh to amboya ki khusboo hain

baagon se beh chale

jaise kaanch mein choodi ke tukde

jaise khiley khiley phoolon ke mukhdey

jaise bansi koi bajaye pedon ke taley



yeh to jhonke hain pawan ke

hain yeh ghungharoo jeewan ke

yeh to sur hain chaman ke



kho na jaaye ye taare zameen par



muhaley ki raunak

galiyan hain jaise

khilney ki zid par

khaliyan hain jaise

muthi mein mausam ki

jaise hawayein

yeh hain buzurgon ke

dil ki duwayein



kho na jaaye ye taare zameen par



kabhi baatein jaise dadi nani

kabhi chalkein jaise mum mum paani

kabhi ban jaaye bhole

sawaalon ki jhadi

sannatey mein hansee ke jaise

sooney hothon pe khushi ke jaise

yeh to noor hain barse gar

teri kismat ho badi



jaise jheel mein lehraye chanda

jaise bheed mein apne ka kandha

jaise manmauji nadiya

jhaag udaye kuch kahe

jaise baithe meethi si jhapki

jaise pyar ki dheemi si thapki

jaise kaanon mein sargam

hardam bajti hi rahe

jaise barkha udati hai bundiya... 
Vind dit lied op:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Auteur: ?

Componist: ?

Publisher: ?

Details:

Taal: Pools

Deel je mening

Dit formulier wordt beschermd door reCAPTCHA en de Google Privacy Policy en Servicevoorwaarden zijn daarbij van toepassing.

0 Reacties gevonden