Anandmurti Gurumaa
Anandmurti Gurumaa - Justaju songtekst
Je score:
mere saathi, meri sharan, mere marg-darshak par tum hi ho jo todte ho dil mera tum mere taaranhaar ho, meri aatma vijayi bhi tum, paraajit bhi tum kholo mere hridai ko aur saaf karo ise sabhi rehasyon se Tum ho kripa prakash mein lipte hue daya bhi, krodh bhi ek boond bhi, aur mahasagar bhi kab tak tum tadpaoge, mere surya, meri asha ki dhadhakti kiran mujhe pyasa na marne do ki tum hi ho mere jal aur pyala bhi tum hi ho meri dawaa aur dard bhi Mukta karo is deh ke jaal se aur rakh lo, mera dil apne paas hi Woh vaapas aa gaya hai woh ek jo, kabhi gair-haazar nahin tha jal kab lehar se alag hua itra ka saar, jiski ham hain khushboo kya itra aur khusboo, kabhi juda hue Kabhi asha mat chodo, jab priyatam tumhein door kare agar veh dwaar band kare mat jaao, dherya dharo, aur intzaar karo yeh tumhara dherya aur sankalpa hi hai jo use vaapas bulayega agar veh tumhare saare marg band kare pakka jaano, veh tumhe gupta marg dikhayega doosrohn se jo ho agyaat Utho, or parikrama karo poore satguru ki kyo chipak rahe ho dharti se Ek bheege phool ki tarhan, ashirwaad kriya mein hai Agar yeh main, main nahi hai to kaun hoon mein agar yeh 'main' nahi bolta hai, to kaun bolta hai Agar yeh 'main' sirf libaas hai, to main kisko dhak rahaa hoon Thanks to Ashish