Anandmurti Gurumaa
Anandmurti Gurumaa - Ishq ka khanjar songtekst
Je score:
Rumi ke shabda veh sheesha hain, jo sab raaz dikha dete hain Deh or rooh se pare dodh jata hai koi jab sunta hai Rumi ko Jo khoji hai woh jaan lega, sab rehasyon ko ruhaaniyat ke, insaaniyat ke, mohabbat ke, akiddat ke Purit ho jayenge vah, jo sunenge saar is prem ka ki jiske aansu bahe the, Shams-e-Tabriz ki mohabbat mein ki jiske paanv thirak gaye the, allah ki yaad mein Aise Rumi ke shabda, agar dilo mein romanch na uthaein to ek hi baat ho sakti hai ki phir tumhare seene mein dil nahi hai Mein tumhe apni kahaani kehne ja rahaa tha par dard ki lehron mein, meri aawaz doob gayi Maine prayaas kiya shabda kehne ka, par mere vichaar, nazuk ho, sheeshe ki tarahn toot gaye Bada jahaaz bhi doob sakta hai, prem ke sagar mein uthe bavandar se, meri kamzor si kishti ko to chodo jo toot kar tukdon mein badal gayi or mujhe choda sirf ek lakdi ke tukde ke sahaare mein nanha shaktiheen uthta swarg ki or, prem ki ek lehar se aur girta doosri se Mujhe yeh bhi nahin pata, ki mein hoon bhi ki nahin jab sochta hoon ki main hoon, mein swayam ko be-arth dikhta hoon jab sochta hoon ki mein nahin hoon to apni keemat pata hoon Mere vicharon ki tarhaan kabhi marta, kabhi uthta hoon har din to mein punar janam par shanka kaise karoon thak gayaa hoon, thak gayaa hoon, jag mein prem ki talash karte hue anteteh: kar diya samarpan, prem ki vaadi mein aur ho gaya, aur ho gaya aazad Maro, maro is prem mein aur utho, aatma mein maro, maro, aur kaato 'aham' ki rassi jo tumhein kaid mein rakhti hai hathoda le kar chalo deewar ke paas tod kar raah banaao baahar ki Maro, maro us khoobsurat badshah ke aage ki tum bhi shaktishali ho sako Maro, maro, aur utho, is baadal mein se tum chamkoge sundartam chand ki tarhan Maun raho, maun raho, ki maun chinh hai mrityu ka aur tumhare maun se, jeewan shor karega, shehnayi se bhi zyada Aao mere satguru aao, mat door jao mujhse aao mere dhokhebaaz chand dekho is tadapte, taraste premi ko aao mere sharabi shehanshah tum mera jeewan ho, meri akla, mera sab kuch ho Meri kaali raaton ke chamakte chand bano mein pyasa hoon teri roshni ka mere hathon ka karo upyo dekho meri ankhon se suno mere kaano se tum aatma ho har jeevit prani ki Aao, aao nachte hue surya ki rashmi ki tarahn aur door karo parchaiyon ko tum naye jagat ke dhwaj ho aur man hai tumhare charno mein laut kar aao mere prem mera toota hridai, aur prem peeda ko seh na sakega aur vaide nahin maine bahot ratein guzar di neend ke bagair mere maun dukh ki meri thaki akla ki aao mere khazaane mere jeewan praan aao, aur mere zakhmon ko bharo aur, bano dawaa shabda bahot hue, aao ab bina ek shabda kahe................ Thanks to Ashish