Anandmurti Gurumaa
Anandmurti Gurumaa - Iltaja songtekst
Je score:
Tummein jo prem na mehsoos kar sakein, sote raho Tummein jo prem ki peeda na mehsoos kar sakein hirdai mein kabhi prem jwaar na uthe, sote raho Jo samaagam ko tadapte na hon Jo lagaatar puchte na rehte hon, kahan hai woh, sote raho Prem path sabhi dharm sampradayon se baahar hai Agar dhokha aur paakhand, hai tumhara dhang, sote raho Agar tum pighalte nahin, tambe ki tarahn, tanki rasaynik sona bana sake, sote raho Agar tum sharabi ki tarahn girte ho baaein-daaein Agyan ki raati beet gayi, prarthna ka samay ho chuka, sote raho Kismat ne meri neend ley lee hai, Par chunki abhi tumhari nahin lee hai, jawaan aadmi, sote raho Ham to gir gaye hain, prem ke haathon mein Tum abhi tak, tumhare haath hi ho, sote raho Mein veh hoon jo mast hai prem mein Tum abhi bhog bhojan mein mast ho, sote raho Maine to apna sir de diya hai Aur kehne ko kuch nahin Par tum to gher sakte ho, swayam ko shabdon ke libaas mein, sote raho Jab mein tumhara chehra dekhta hoon band kar leta hoon apni ankhein Mein tumhare wajood se bhara hoon mein hoon sharabi tere hone se Mil sake mujhe solomaan ki mohar mein pighal gaya hoon mom ki tarahn Jab tumhara chehra dekhta hoon mein apni dradta samarpit karta hoon aur ban jata hoon aah tere hothon ki Tum mere haath mein the aur mein dhoondta raha tumhein, andhe aadmi ki tarahn Mein tha tere haathon mein par sawaal puchta raha Mein zarur raha hoon anjaan ya sharabi apna hi swarn churata tha Mein zarur raha hoon, pagal ki ghus kar apne hi chameli ke baag se churata raha Mein tumhari marzi par bahut maroda gaya hoon Shams-e-Tabriz ke par mein sukhi hoon apne dukhohn mein utsav ki shuruaat mein, badte hue chaand ki tarahn Jab prem achanak se aaye, aur khatkhataaye tumhari khidki daudo aur pehle usey bheetar lo aur tark ka darwaza band karo zara sa ishara bhi prem ko door bhej dega us dhooein ki tarahn, jo duba deta hai taazgi, subho ki hawaa ki Tark ko prem sirf itna hi keh sakta hai raah mein rukawat hai tum nikal na sakoge par premi ko hazaaron aashirwad bhent karta hai Iske pehle ki man uthe, pehla kadam le, prem saatvein swarg tak pahunch jata hai Iske pehle ki man soche, kaise prem pavitra parvat chad chuka hota hai Ab mujhe bolna band karna chahiye aur prem ko maun ke gharonde se bolne dena chahiye Thanks to Ashish