Alka Yagnik
Alka Yagnik - Dekho Na, Zara Dekho Na songtekst
Je score:
Alka: Umm..hmm…hmm…hmm… Umm..hmm…dekho na, zara dekho na Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai Dekho na, zara dekho na Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka Suno zara, suno zara, kehti hai…raat kya Udit: Raat hai leke aayi, kitne armaan anjaane Kehti hai sau afsaane, sunta hoon main Raat ne li angdaai, anhoni baat hai hoti Bikhre hai jaise moti chunta hoon main Tumne, ye kya keh diya Meri aankhon mein diye hai jaise jal gaye Tumne ye kya keh diya Meri raaton ke andhere jaise dhhal gaye Alka: Tumse hi toh milke maine jaana hai Sapne kya hote hain ho Tumse hi toh milke maine jaana hai Dil kaise kho-te hain oh.. Udit: Chaandni se pyaari mujhko, in palkon ki chhaaon Tumne basaaya mere dil mein, ik sapnon ka gaaon Alka: Tumne mujhko chaaha toh Mausam rang chhalkaata hai Har pal jee ab gaata hai mere liye Udit: Tumne mujhko chaaha toh Jeevan ki saari raahein Khole hain apni baahein mere liye Alka: Dekho na, zara dekho na Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai Dekho na, zara dekho na Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai Udit: Hmm…tum bin din sune the raatein suni thi Viraani thi chhaayi oh… Ab jaise din chamke raatein mehki hai Tum ho jo hamraahi oh… Alka: Tum bin jaise main thi adhoori Poori ho gayi hoon main Tumko paake jag paaya hai Par khud kho gayi hoon main Udit: Ham dono ne ab jaana, jeene ka matlab kya hai Alka: Pehle kya thi ab kya hai, ye zindagi Udit: Ham dono ne ab jaana, duniya kitni pyaari hai Alka: Paayi kitni saari hai, hamne khushi Udit: Dekho na, zara dekho na Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai Dekho na, zara dekho na Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai Alka: Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka Suno zara, suno zara, kehti hai…raat kya