Talat Aziz
Talat Aziz - Na Kisi Ki Aankh Ka songtekst
Je score:
Na kisi ki aankh ka noor hoon - 2 Na kisi ke dil ka qaraar hoon Jo kisi ke kaam na aa sake Main voh ek musht-e-ghobaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Mera rang roop bigad gaya Mera yaar mujhse bichhad gaya Jo chaman fizaa mein ujad gaya Main ussi ki fasle bahaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Na kisi ke dil ka qaraar hoon Main kahan rahoon, main kahan basoon Na yeh mujhse khush, na voh mujhse khush Main zameen ki peeth ka boj hoon Main falak ke dil ka ghobaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Paye faateha koi aaye kyoon Koi chaar phool chadaaye kyoon Koi aake shamma jalaaye kyoon - 2 Main voh bekasi ka mazaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon Na kisi ke dil ka qaraar hoon Jo kisi ke kaam na aa sake Main voh ek musht-e-ghobaar hoon Na kisi ki aankh ka noor hoon