Shankar Mahadevan

Shankar Mahadevan - Lakshya songtekst

Je score:

Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai

Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai

Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai



Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai

Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai

Tujhe ab ye dikhaana hai

Roke tujhko aandhiyaan, ya zameen aur aasmaan

Paayega jo lakshya hai tera

Lakshya toh har haal mein paana hai



Mushkil koyi, aajaaye toh, parbat koyi, takraaye toh

Taaqat koyi, dikhlaaye toh, toofaan koyi, mandlaaye toh

Mushkil koyi aajaaye toh, parbat koyi takraaye toh

Barse chaahe ambar se aag, lipte chaahe pairon se laakh -2

Paayega jo lakshya hai tera

Lakshya toh har haal mein paana hai



Himmat se jo koyi chale, dharti hille qadmon tale

Kya dooriyaan kya faasle, manzil lage aake gale

Himmat se jo koyi chale, dharti hille qadmon tale

Tu chal yunhi ab sub-o-shaam, rukna, jhukna nahin tera kaam -2

Paayega jo lakshya hai tera

Lakshya toh har haal mein paana hai



Haan yehi rasta hai tera, tune ab jaana hai

Haan yehi sapna hai tera, tune pehchaana hai

Tujhe ab ye dikhaana hai
Vind dit lied op:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Auteur: ?

Componist: ?

Publisher: ?

Details:

Taal: Galicisch

Deel je mening

Dit formulier wordt beschermd door reCAPTCHA en de Google Privacy Policy en Servicevoorwaarden zijn daarbij van toepassing.

0 Reacties gevonden