Shankar Mahadevan
Shankar Mahadevan - Kandhon Se Milte Hain Kandhe songtekst
Je score:
All: (Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2 Kunal: Ab toh hamein aage badte hai rehna Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna Roop Kumar: Ab toh hamein aage badte hain rehna Ab toh hamein saathi hai bas itna hi kehna Sonu: Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana Hariharan: Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana All: (Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -2 Roop Kumar: Nikle hain maidaan mein ham jaan hatheli par le kar Shankar: Ab dekho dam lenge ham jaake apni manzil par Sonu: Khatron se haske khelna, itni toh ham mein himmat hai Kunal: Mode kalaai maut ki, itni toh ham mein taaqat hai All: Ham sarhadon ke waaste lohe ki ik deewaar hai Ham dushmanon ke waaste hoshiyaar hai taiyaar hai Shankar: Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana Kunal: Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana All: Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain Hariharan: Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo All: Josh dil mein jagaate chalo, jeet ke geet gaate chalo Sonu: Jeet ki jo tasveer banaane ham nikle hain apni lahoo se Ham ko us mein rang bharna hai Shankar: Saathi maine apne dil mein ab ye thhaan liya hai Ya toh ab karna hai, ya toh ab marna hai Roop Kumar: Chaahein angaarein barse ke bijli gire Tu akela nahin hoga yaara mere Kunal: Koyi mushkil ho ya ho koyi ho morcha Saath har mod par honge saathi tere Hariharan: Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana All: Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain Sonu: Ik chehra aksar mujhe yaad aata hai Is dil ko chupke chupke woh tadpaata hai Hariharan: Jab gharse koyi bhi khat aaya hai Kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai Shankar: Palkon palkon pe yaadon ke kuch deep jaise jalte hain Kuch sapne aise hain, jo saath saath chalte hain Sonu: Koyi sapna na toote koyi waada na toote Tum chaaho jisse dil se woh tumse na roothhe Hariharan: Ab jo bhi ho shola banke pathar hai pighlaana Roop Kumar: Ab jo bhi ho baadal banke parbat par hai chhaana All: Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain Kunal: Chalta hai jo ye kaarvaan, gunji si hai ye waadiyaan Shankar: Hai ye zameen, ye aasmaan Roop Kumar: Hai ye hawa, hai ye sama Sonu: Har raste ne, har waadi ne har parbat ne sada di All: Ham jeetenge ham jeetenge ham jeetenge har baazi (Kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain Ham chalte hain jab aise toh dil dushman ke hilte hain) -4 Shankar: Chalta hai jo… ye kaarvaan…, gunji si hai… ye waadiyaan…