Mukesh

Mukesh - Kal ki yaaden mit rahi hain songtekst

Je score:

Saahib sharaab peene de, masjid mein baithkar

Ya woh jagah bataa de, jahan par khuda na ho 



Mujhko yaaron maaf karna, main nashe mein hoon

Mujhko yaaron maaf karna, main nashe mein hoon

Ab to moomkin hai behakna, main nashe mein hoon

Mujhko yaaron maaf karna, main nashe mein hoon 



Kal ki yaaden mit rahi hain, dard bhi hain kam

Ab jara aaraam se aa jaa raha hai dam

Are aa jaa raha hai dam

Kam hain ab dil ka tadapna, main nashe mein hoon

Ab to moomkin hai behakna, main nashe mein hoon

Mujhko yaaron maaf karna, main nashe mein hoon 



Dhal chuki hai raat kab ki, ooth gayi mehfil

Main kahan jaoon nahi koi meri manzil

Nahi koi meri manzil

Do kadam mushkil hai chalna, main nashe mein hoon

Mujhko yaaron maaf karna, main nashe mein hoon 



Hai jara si baat aur chhalke hain kuch pyaale

Warna jaane kya kahenge ye jahanwale

Kahenge ye jahanwale

Tum bas itna yaad rakhna, main nashe mein hoon

Ab to moomkin hai behakna, main nashe mein hoon

Mujhko yaaron maaf karna, main nashe mein hoon
Vind dit lied op:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Auteur: ?

Componist: ?

Publisher: ?

Details:

Taal: Estisch

Deel je mening

Dit formulier wordt beschermd door reCAPTCHA en de Google Privacy Policy en Servicevoorwaarden zijn daarbij van toepassing.

0 Reacties gevonden