Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar - Zinda Hoon Magar songtekst
Je score:
khamosh hai khevanhaar mera, naiyya meri doobi jaati hai khamosh hai khevanhaar mera, naiyya meri doobi jaati hai zinda hoon magar ab jeene ki ummeed bhi tooti jaati hai saahil ki tamanna thi mujh ko, manjhadhaar mein beda ja pahuncha jeene ki duaayen kya maangu, paani to gale tak aa pahuncha dil dhoondh raha hai duniya ko, duniya hai ki chhooti jaati hai naiyya meri doobi jaati hai, khamosh hai khevanhaar mera gam apna zabaan tak la na saku sansaar ko munh dikhala na saku ghutata hai jo dam, rukte hain kadam, badhate hain qadam, rukte hain kadam, ghutata hai jo dam, rukte hain kadam, manzil ki taraf bhi ja na saku bhatka hua raahi jaan ke ab taqdeer bhi roothi jaati hain naiyya meri doobi jaati hai, kaamosh hai khevanhaar mera charnon mein hai tere laaj meri, sun aaj zara fariyaad meri tu duur nahi, majaboor nahi, nagari hai magar barbaad meri kya yu hi garibon ki duniya sansaar mein looti jaati hai naiyya meri doobi jaati hai, kaamosh hai khevanahaar mera