Suresh Wadkar

Suresh Wadkar - Aye Kaash Dil-E-Nadaan lyrics

Your rating:

aye kaash dil-e-nadaan - 2

aaisa na kiya hota pyar kiya hota

sauda na kiya hota pyar kiya hota

sauda na kiya hota

aye kaash dil-e-nadaan



vaada wafa ka humne kis mod pe hain toda - 2

haste kisi chaman ko veeran karke chhodha

veeran karke chhodha

masoom kisi dil ko dhokha na diya hota - 2

pyar kiya hota sauda na kiya hota

aye kaash dil-e-nadaan



khwaabon ke aashiyaan pe bijli girayi humne - 2

daulat se mohabbat ki keemat lagai humne

keemat lagai humne

neelam main hua tha dil toh na bika hota - 2

pyar kiya hota sauda na kiya hota

aye kaash dil-e-nadaan



ek bezubaan dil ki duniya tabaah kar ke - 2

laute hai aaj hum yeh kaisa gunaah karke

kaisa gunaah karke

yu naam mohabbat ka ruswaa na kiya hota - 2

pyar kiya hota sauda na kiya hota

aye kaash dil-e-nadaan

aaisa na kiya hota pyar kiya hota

sauda na kiya hota

aye kaash dil-e-nadaan
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Language: Estonian

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found