Mohammad Rafi

Mohammad Rafi - Nafarat Se Jinhe Tum Dekhte Ho lyrics

Your rating:

Nafarat Se Jinhe Tum Dekhte Ho,

Tum Maarthe Ho Jinko Thokar,

Kya Unpe Guzarthi Hai Dekho,

Ik Baar Kabhi Ghayal Hokar...



Zamane Ki Aankhon Ne Dekha Hai Yaaron,

Sada Apni Duniya Mein Aisa Nazara,

Kabhi Unko Phoolon Se Pooja Hai Sab Ne,

Kabhi Jinko Logon Ne Pattar Se Maara..



Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..



Pise Na Jahan Tak, Patthar Pe Mehendi,

Kisi Bhi Tarah Rang, Laathi Nahin Hai,

Hazaron Jagah Thokare Kha Ne Le Jab,

Koyi Zindagi Muskuraathi Nahin Hai,

Bina Khud Mare, Kisko Jannat Mili Hai,

Bina Dukh Sahe Kisne, Jeevan Savaara..



Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..



Bhavar Se Jo Ghabarake, Peeche Haten Hein,

Dubodi Hai Maujon Ne, Unki Hi Nayya,

Jo Toofan Se Takarake Aage Bade Hein,

Bina Koi Maaji, Bina Hi Khivaiya..

Kabhi Na Kabhi Tho, Kahin Na Kahin Par..

Humesha Hi Unko, Mila Hai Kinara..



Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..



Yahan Aadmi Ko Sabak Dosti Ka,

Sikhate Huve Jo, Lahu Mein Nahaaya,

Masiha Bana Aur Gandhi Bana Voh,

Hazaron Dilon Mein, Yahan Ghar Banaya,

Unhi Ki Bani Hai, Yahan Yaadgaaren,

Unhi Ke Jahan Mein, Chumpka Sitaara..



Zamaane Ki Aankhon Ne..Dekha Hai Yaaron..
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found