Mohammad Rafi
Mohammad Rafi - Mere Meheboob Tujeh lyrics
Your rating:
Mere mehboob tujhe meri mohabbt ki kasam(repeat) Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Ae mere khwab ki tasbir meri jaan-e-ghazal Zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai Raat din mujhko satata hai tasavur tera Dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jaati hai Aa mujhe apni sadaon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazzara dede Mere mehboob tujhe Bhool sakti nahin ankhen woh suhana manzar Jab tera husn mere ishq se takraya tha Aur phir raha mein bikhre the hazaron naghme Meri woh naghme teri awaaz ko de aaya tha Shazedil ko unhi geeton ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Yaad hai mujhko meri umr ki pehli woh gadi Teri ankhon se koi jaam piya tha maine Mere rug rug mein koi barqse lehrai thi Jab tere marmari haathon ko chua tha maine Aa mujhe phir unhi haathon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Maine ik baar teri ek jhalak dekhi hai Meri hasrat hai ke mein phir tera deedar karoon Tere saaye ko samajh kar mein haseen Taj Mahal Chandni raat me nazaronse tujhe pyar karoon Apni mehki hui zulfon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Dhoond tha hoon tujhe har raah mei har mehfil mein Thak gaye hai meri majboor tamanna ki kadam Aaj ka din meri umeed ki hai aakhri din Kal na jaane mei kahan aur kahan tu hai sanam Do ghadi apni nigahon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Saamne aa ke zara parda utha de rukh se Ik yahi mera ilaaj-e-ghum-e-tanhai hai Teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko Ab to milja ke meri jaan pe ban aayi hai Dil ko bhooli hui yaadon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Meri mohabbat ki kasam Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam Mere mehboob tujhe