Lata Mangeshkar
Lata Mangeshkar - Khaamosh Hai Khewanhaar Mera lyrics
Your rating:
khaamosh hai khewanhaar meraa, naiyyaa meri doobi jaati hai khaamosh hai khewanhaar meraa,naiyya meri doobi jaati hai zindaa hun magar ab jine ki,umeed bhi tuTi jati hai saahil ki tamannaa thi mujhko majhadhaar me bedaa jaa pahonchaa jeene ki duaayen kyun maangu, paani to gaale tak aa pahonchaa dil dhundh rahaa hai duniyaa ko,duniyaa hai ke chhuti jaati hai naiyyaa meri doobi jaati hai,khaamosh hai khewanhaar meraa... gham apnaa zubaan tak laa na sakun,sansaar ko munh deekhlaa na sakun ghutataa hai jo dam,rukte hai qadam, badhte hai qadam,rukte hai qadam, ghutataa hai jo dam,rukte hai qadam,manzil ki taraf bhi jaa na sakun bhatakaa huwaa raahi jaan ke ab, taqdeer bhi ruThee jaati hai naiyyaa meri doobi jaati hai,khaamosh hai khewanhaar meraa... charano mein tere hai laaj meri,suun aaj zaraa fariyaad meri tu duur nahin, majboor nahin,nagari hai magar barbaad meri kyaa yunhi garibon ki duniyaa,sansaar mein looti jaati hai naiyyaa meri doobi jaati hai,khaamosh hai khewanhaar meraa... Posted By: Purnima