Lata Mangeshkar

Lata Mangeshkar - Aap Kahein Aur lyrics

Your rating:

aap kahein aur ham na aayein, aise to haalaat nahin

manzil pe pahuNcheinge kaise, aapkaa jab tak saath nahin

aap kahein aur ham na aayein, aise to haalaat nahin



chaahane vaaloN ke aaj duniyaa mein chaahane vaale aa gaye

ulfat ki may aaNkhoN se lo aaj pee lene vaale aa gaye

aap piyen aur aap na jhoomein

manzil pe pahuNcheinge kaise aapkaa jab tak saath nahin



kasaa huaa hai teer husn kaa, zaraa sambhalke rahiyegaa

nazar nazar ko maaregi, to qaatil hamein na kahiyegaa

chaal chali hai sochke hamne is khel mein apni maat nahin



paas aake ye aapke hamein hone lagaa ehsaas hai

dam hai to bas aapke dam se aap hi se saaNs hai

bayaan karein jo haal-e-dil ko aise koi jazbaat nahin



aap kahein aur ham na aayein, aise to haalaat nahin

manzil pe pahuNcheinge kaise, aapkaa jab tak saath nahin

aap kahein aur ham na aayein, aise to haalaat nahin
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Language: Estonian

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found