Kishore Kumar
Kishore Kumar - Pag Ghungroo Baandh lyrics
Your rating:
Buzurgon ne Buzurgon ne, farmaya ki pairon pe apne khade hoke dikhlaao Phir yeh zamaana tumhaara hai Zamaane ke sur taal ke saath chalte chale jaao Phir har taraana tumhaara fasaana tumhaara hai Arey to lo bhaiya hum Apne pairon ke oopar khade ho gaye Aur milali hai taal Dabaalega daaton tale ungliyan,liyan Yeh jahan dekhkar,dekhkar apni chaal Wah wah wah wah Dhanvad Ki pag ghungroo Ki pag ghungroo baandh meera naachi thi -2 Aur hum naachen bin ghungroo ke Ki pag ghungroo baandh meera naachi thi Woh teer bhalaa, kis kaam ka hai Jo teer nishaaane se chooke chooke chooke re! Ki pag ghungroo.. Aap andar se kuch aur Bahar se kuch aur nazar aate hain Bakhuda shakal se to chor nazar aate hain Umar guzari hai saari chori mein Saare sukh chain band jurm ki tijori mein (Aap ka to lagta hai bas yahi sapna Ram naam japna paraya maal apna) -2 Watan ka khaaya namak to namak halaal bano Farz imaan ki zinda yahaan misaal bano Paraya dhan parayi naar pe nazar mat dalo Buri aadat hai yeh aadat abhi badal dalo Kyonke yeh aadat to woh aag hai jo Ik din apna ghar phoonke phoonke phoonke re! Ki pag ghungroo.. Mausam-e-ishq mein machale huwe armaan hain hum Dil ko lagta hai ke do jism ek jaan hai hum Aisa lagta hai to lagne mein kuchh buraayi nahin Dil yeh kehta hai aap apni hain paraayi nahin Sange marmar ki hai, koi moorat ho tum Badhi dilkash badhi, khubsoorat ho tum Dil dil se milne ka koi mahoorat ho pyaase dilon ki zaroorat ho tum Dil cheer ke dikhladoon maein dil mein yahin soorat haseen Kya aapko lagta nahin hum hain mile pehle kahin Kya desh hai kya jaat hai Kya umra hai kya naam hai Aji chhodhiye in baaton se humko bhala kya kaam hai Aji suniye to Hum aap milen to phir ho shuroo afsaane laila majnoo laila majnu ke Ki pag ghungroo..