Alka Yagnik

Alka Yagnik - Har Ek Muskuraahat lyrics

Your rating:

La la la laa, la la la la laa laa

Aah haa, aah ha ha ha ha ha haa

La la la laa, la la la laa laa, la la la la laa la, aah ha ha



Har ek muskuraahat muskaan nahin hoti

Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti

Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise - 2

In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti

Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti

Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti





Har baat hai vahi par matlab badal gaye hai

Dil dagmagaa gaya tha, par hum sambhal gaye hai

Aise bhi aate hai din, jeete hai log lekin - 2

Hota hai aur sab kuch, par jaan nahin hoti

Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti

Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti





La la la laa, la la la la laa laa

Aah haa, aah ha ha ha ha ha haa

La la la laa, la la la laa laa, 

la la la la laa la, aah ha ha



Hote hai is jahan mein chehre bhi ek jaise

Ghoonghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise

Sab jaanti hai nazrein, pehchaanti hai nazrein - 2

Apni paraayi soorat anjaan nahin hoti

Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti

Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti





Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaaye jab akela

Rehta hai saath iske yaadon ka ek mela

Duniya bhi chhoot jaaye, har aas toot jaaye - 2

Mehfil kabhi yeh dil ki veeran nahin hoti

Aansoo khushi ke gham ke, hote hai ek jaise - 2

In aansuon ki koi pehchaan nahin hoti

Haan, har ek muskuraahat muskaan nahin hoti

Nafrat ho ya mohabbat, aasaan nahin hoti
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Language: Danish

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found