Nusrat Fateh Ali Khan
Nusrat Fateh Ali Khan - Tum Ek Gorkhdhanda Ho lyrics
Your rating:
Kabhi Yehan Tumhein Dhoondha Kabhi Wahan Puhancha Tumhari Deed Ki Khatir Kahan Kahan Puhancha Ghareeb Mit Gaye, Pamaal Ho Gaye Lekin Kissi Talak Na Tera Aaj Tak Nishan Puhancha Ho Bhi Nahin Aur... Ho Bhi Nahin Aur Har Jaa Ho Tum Ek Gorakh Dhandha Ho... ... Har Zarre Mein Kiss Shaan Se Tu Jalwa Numa Hai Hairan Hai Magar Akal Ke Kaisa Hai Tu Kya Hai Tujhe Der-o-haram Mein Mein Ne Dhoonda Tu Nahin Milta Lekin Tujh Ko Tashreef Farman Apne Dil Me Dekha Hai Dhoondhay Nahin Milay Ho Na Dhoondhay Se Kabhi Tum Aur Phir Ye Tamasha Hai Ke Jahan Hum Hain Wahin Tum Ho Jab Bajud Tere Koi Doosra Maujood Nahin Phir Samajh Mein Nahin Aata Tera Parda Karna Haram O Dehr Mein Hai Jalwa-e-purfan Tera Do Gharon Ka Hai Charagh Purkh-e-raushan Tera Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai Ussi Khoay Huay Ko Kuch Mila Hai Na But-khanay Na Kaabay Mein Mila Hai Magar Tootay Huay Dil Mein Mila Hai Adam Ban Kar Kahin Tu Chup Gaya Hai Kahin Tu Hasst Ban Kar Aa Gaya Hai Nahin Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa Nafi Bhi Tere Honay Ka Pata Hai Mein Jiss To Keh Raha Hoon Apni Hasti Agar Woh Tu Nahin To Aur Kya Hai Nahin Aaya Khayalon Mein Agar Tu To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai Hairan Hoon Iss Baat Pe Tum Kaun Ho Kya Ho Haat Aao To But, Haath Naa Aao To Khuda Ho Aqal Mein Jo Ghir Gaya, La-intaha Kyonkar Hua Jo Samajh Mein Aa Gaya, Phir Khuda Kyonkar Hua Falsafi Ko Behas Ke Andar Khuda Milta Nahin Dor Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahin Pata Yun To Bata Dete Ho Sab Ko La-makaan Apna Taaujub Hai Magar Rehte Ho Tum Tootay Huay Dil Mein Jab Ke Tujh Bin Nahin Koi Maujood Phir Ye Hangama Aye Khuda Kya Hai Chuptay Nahin Ho Saamne Aatay Nahin Ho Tum Jalwa Dikha Ke Jalwa Dikhatay Nahin Ho Tum Dehr-o-haram Ke Jhagray Mitatay Nahin Ho Tum Jo Asal Baat Hai Woh Batate Nahin Ho Tum Hairan Hoon Mere Dil Mein Samaaye Ho Kiss Tarha Halanke Do Jahan Mein Samaatay Nahin Ho Tum Yeh Maabad-o-haram Ye Kaleesa-o-dehr Kyon Harjaai Ho Jabhi To Batatay Nahin Ho Tum Dil Pe Hairat Ne Ajab Rang Jama Rakha Hai Ek Uljhi Hui Tasweer Bana Rakha Hai Kuch Samajh Mein Nahin Aata Ke Ye Chakr Kya Hai Khel Kya Tum Ne Azal Se Ye Racha Rakha Hai Rooh Ko Jism Ke Pinjray Ka Bana Kar Kaidi Uss Pe Phir Maut Ka Pehra Bhi Bitha Rakha Hai De Ke Tadbeer Kay Panchi Ko Uraanein Tum Ne Tam-e-takdeer Mein Har Simt Bicha Rakha Hai Kar Ke Araaishein Konain Ki Barson Tum Ne Khatm Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai Lamaqami Ka Baharhal Hai Daawa Bhi Tumhein Nahme Aqrab Ka Bhi Paigham Suna Rakha Hai Yeh Burai, Woh Bhalai, Yeh Jahanum, Woh Bahisht Iss Ulat Khel Mein Farmao To Kya Rakha Hai Jurm Adam Ne Kiya, Aur Saza Beton Ko Adal-o-insaaf Ka Mayyar Bhi Kya Rakha Hai De Ke Insaan Ko Duniya Mein Khalafat Apni Ek Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai Apni Pehchan Ki Khatir Hai Banaya Sab Ko Sab Ki Nazron Se Magar Khud Ko Chupa Rakha Hai ... Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Dete Ho Jaane Kis Jurm-e-tamana Ki Saza Dete Ho Kabhi Kankar Ko Bana Dete Ho Heeray Ki Kani Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Dete Ho Jindagi Kitnay Hi Murdon Ko Ata Ki Jiss Ne Woh Maseeha Bhi Saleebon Pe Saja Dete Ho Khwahish-e-deed Jo Kar Baithe Sar-e-toor Koi Toor Hi Bark-e-tajalli Se Jala Dete Ho Naar-e-namrood Mein Dalwatay Hu Khud Apna Khaleel Khud Hi Phir Naar Ko Gulzaar Bana Dete Ho Chahe Kinaan Mein Phainko Kabhi Mahe In Aan Noor Yakuub Ki Aankhon Ka Bujha Dete Ho Becho Yusuf Ko Kabhi Misr Ke Baazaaron Mein Akhir-e-kaar Shah-e-misr Bana Dete Ho Jazb-o-masti Ki Jo Manzil Pe Puhanchta Hai Koi Baith Kar Dil Mein An-al-haq Ki Sada Dete Ho Khud Hi Lagwatay Ho Phir Kufr Ke Fatway Uss Par Khud Hi Mansoor Ko Sooli Pe Charha Dete Ho Apni Hasti Bhi Woh Ik Roz Ganwa Baithta Hai Apne Darshan Ki Lagan Jis Ko Laga Dete Ho Koi Raanjha Jo Kabhi Khoj Mein Nilklay Tumkar Tum Ussay Jhang Ke Bele Mein Rula Deta Ho Justajoo Le Ke Tumhari Jo Chale Kais Koi Uss Ko Majnoon Kissi Laila Ka Bana Dete Ho Jot Sassi Ke Agar Mann Mein Tumhari Jaagay Tum Usse Tapte Huay Thal Mein Jala Dete Ho Sohni Gar Tum Ko Mahiwal Tasawwur Kar Le Uss Ko Biphri Hui Lehron Mein Baha Dete Ho Khud Jo Chaaho To Sar-e-arsh Bula Kar Mehboob Ek Hi Raat Mein Mairaaj Kara Dete Ho Aap Hi Apna Parda Ho Aap Hi Apna Pardaa Ho Tum Ek Gorakh Dhandha Ho Jo Kehta Hoon Maana, Tumhein Lagta Hai Bura Sa Phir Bhi Hai Mujhe Tum Se Baharhaal Gila Sa Chup Chaap Rahe Dekthe Tum Arsh-e-bareen Par Tapte Huay Karbal Mein Muhammad Ka Nawasa Kiss Tarhe Pilata Tha Lahoo Apna Wafa Ko Khud Teen Dinon Se Wo Agarche Tha Piyasa Dushman To Bahar Taur Thay Dushman Magar Afsos Tum Ne Bhi Faraham Na Kiya Paani Zara Sa Har Zulm Ki Taufeeq Hai Zalim Ki Wirasat Mazloom Ke Hissay Mein Tassali Na Dilasa Kal Taaj Saja Dekha Tha Jiss Shakhs Ke Sar Par Hai Aaj Ussi Shakhs Ke Hathon Mein Hikasa Yeh Kya Hai Agar Poochoon To Kehte Ho Jawaban Iss Raaz Se Ho Sakta Nahin Koi Shanasa Hairat Ki Ek Duniya Ho Hairat Ki Ek Duniya Ho Tum Ek Gorakh Dhandha Ho Har Ek Jaa Pe Ho Lekin Pata Nahin Maaloom Tumhara Naam Suna Hai Nishaan Nahin Maaloom Dil Se Arman Jo Nikal Jaaye To Jugnoon Ho Jaye Aur Aankhon Mein Simat Aaye To Aansoo Ho Jaye Japeya Huu Ka Jo Be Huu Kare Huu Mein Kho Kar Uss Ko Sultaniyan Mil Jayen Wo Ba Huu Jo Jaye Baal Beeka Na Kissi Ka Ho Churri Ke Neeche Halk-e-asghar Mein Kabhi Teer Tarazoo Ho Jaye Kiss Kadar Be-niyaz Ho Tum Bhi Daastaan-e-daraaz Ho Tum Bhi Ni Re Sa Sa Re Ni Re Ma Sa Ni Re... (nfk Vs. Tabla)-tabla Looses Aah-e-tehkeek Mein Har Gam Pe Uljhan Dekhoon Wohi Haalat-o-khayalat Mein An Ban Dekhoon Ban Ke Reh Jaata Hoon Tasweer Pareshani Ki Ghaur Se Jab Bhi Kabhi Duniya Ka Darpan Dekhoon Ek Hi Khaak Pe Fitrat Ke Tazaadat Itnay Kitnay Hisson Mein Bata Ek Hi Aangan Dekhoon Kahin Zehmat Ki Sulagti Hui Patjhar Ka Samaan Kahin Rehmat Ke Baraste Huay Sawan Dekhoon Kahin Phunkaarte Darya, Kahin Khamosh Pahaar Kahin Jangal, Kahin Sehra, Kahin Gulshan Dekhoon Khun Rulata Hai Yeh Takseem Ka Andaaz Mujhe Koi Dhanwaan Yehan Par Koi Nirdhan Dekhoon Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Sooraj Raat Ki Maang Sitaron Se Muzzayyan Dekhoon Kahin Murjhaaye Huay Phool Hain Sacchai Ke Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pe Bhi Joban Dekhoon Shams Ki Kaal Kahin Khichti Nazar Aati Hai Kahin Sarmad Ki Uttarti Hui Gardan Dekhoon Raat Kya Shai Hai Saweera Kya Hai Yeh Ujala Yeh Andhera Kya Hai Mein Bhi Nayib Hun Tumhara Akhir Kyon Yeh Kehte Ho Ke Tera Kya Hai Dekhne Wala Tujhe Kya Dekhta Tu Ne Har Har Samt Se Parda Kiya Masjid Mandir... Masjid, Mandir, Yeh Maikhane Koi Yeh Maane, Koi Woh Maane Masjid, Mandir, Yeh Maikhane Koi Yeh Maane, Koi Woh Maane Sab Tere Hain Jaana Aashanay Koi Yeh Maane, Koi Woh Maane Ek Honay Ka Tere Kaayil Hai Inkaar Pe Koi Maayil Hai Asleeyat Lekin Tu Jaane Koi Yeh Maanay Koi Woh Maane Ek Khalk Mein Shamil Karta Hai Ek Sab Se Akela Rehta Hai Hain Dono Teray Mastaanay Koi Yeh Maanay Koi Woh Maane Sab Hain Jab Aashiq Tumhare Naam Ke Kyon Yeh Jhagre Hain Raheem-o-raam Ke Dehr Mein Tu, Haram Mein Tu Dehr Mein Tu, Haram Mein Tu Arsh Pe Tu, Jameen Pe Tu Dehr Mein Tu, Haram Mein Tu Arsh Pe Tu, Jameen Pe Tu Jiss Ki Puhanch Jahan Talak Uss Ke Liye Wahin Pe Tu Har Ek Rang Mein Yakta Ho Tum Ek Gorakh Dhandha Ho Markaz-e-justajoo, Alam-e-rang-o-boo Dam Badam Jalwagar Tu Hi Tu Chaar Soo Hoo Ke Mahol Mein, Kuch Nahin Fi-la-hoo Tum Buhat Dil Ruba, Tum Buhat Khubaroo Aarsh Ki Azmatein, Farsh Ki Abroo Tum Ho Konain Ka, Hasil-e-arzoo Aankh Ne Kar Liya Aansoo-on Se Wazoo Ab To Kar Do Ata Deed Ka Ek Sudoo Aao Parde Se Tum Aankh Ke Rubaroo Chund Lamhe Milan, Do Ghari Guftagoo Naaz Jabta Phiray, Jabaja Koo-ba-koo Wahda-hoo Wahda-hoo La-shareek-a-la-hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo Allah Hoo