Mukesh
Mukesh - Lakhon Tare Aasman Mein lyrics
Your rating:
Mukesh: Lakhon tare, aasman mein, ek magar dhoondhe na mila Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala, Dil mera chupchaap jala Lata: Lakhon tare, aasman mein, ek magar dhoondhe na mila Ek magar dhoondhe na mila Mukesh: Qismat ka hai, naam magar hai, kum hai yeh duniya waalon ka Phoonk diya hai chaman humare khwaabon aur khayalon ka Ji karta hai khud hi ghonth de, apne armaano ka gala Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala, Dil mera chupchaap jala Lata: Sau-sau sadiyon se lambi yeh, ghum ki raat nahin dhalti Is andhiyaare ke aage ab, ayi dil ek nahin chalti Hanste hi lut gayi chaandni, aur uthte hi chaand dhalaa Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala, Dil mera chupchaap jala Mukesh: Maut hai behtar is haalat se, naam hai jiska majboori Lata: Kaun musaafir tay kar paaya, dil se dil ki yeh doori Mukesh: Kaantho hi kaantho se guzra, jo raahi is raah chala Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala, Dil mera chupchaap jala Lata: Lakhon tare, aasman mein, ek magar dhoondhe na mila Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala, Dil mera chupchaap jala