Mukesh
Mukesh - Chhodo Kal Ki Baatein lyrics
Your rating:
Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani Hum hindustani, hum hindustani - 2 Aaj puraani zanjeeron ko tod chuke hain Kya dekhe us manzil ko jo chhod chuke hain Chaand ke dar pe jaa pahuncha hai aaj zamaana Naye jagat se hum bhi naata jod chuke hain Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani Hum hindustani Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani Hum hindustani, hum hindustani Aao mehnat ko apna imaan banaaye Apne haathon ko apna bhagwaan banaaye Ram ki is dharti ko gautam ki bhoomi ko Sapnon se bhi pyaara hindustan banaaye Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani Hum hindustani Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani Hum hindustani, hum hindustani Har zarra hai moti, aankh uthaakar dekho Maati mein sona hai, haath badhaakar dekho Sone ki yeh ganga hai, chaandi ki yamuna Chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani Hum hindustani, hum hindustani Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani Hum hindustani, hum hindustani - 2