Mohammad Rafi
Mohammad Rafi - Yeh Hai Bombay Meri Jaan lyrics
Your rating:
Rafi: Aye dil hai mushkil jeena yahan Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan Ha haa, ha ho ho, ho hi haa ha haa Hm hm hm hm, hm hm hm , hm hm hm hm hm Aye dil hai.. (Kahin building kahin traame, kahin motor kahin mill Milta hai yahan sab kuchh ik milta nahin dil) -2 Insaan ka nahin kahin naam-o-nishaan Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan Aye dil hai.. (Kahin satta, kahin patta kahin chori kahin res Kahin daaka, kahin phaaka kahin thokar kahin thes) -2 Bekaaro ke hain kai kaam yahan Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan Aye dil hai.. (Beghar ko aawara yahan kehte has has Khud kaate gale sabke kahe isko business) -2 Ik cheez ke hain kai naam yahan Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan Aye dil hai.. Geeta: (Bura duniya woh hai kehta aisa bhola tu na ban Jo hai karta woh hai bharta hai yahan ka yeh chalan) -2 Tadbeer nahin chalne ki yahan Yeh hai Bombay, yeh hai Bombay, yeh hai Bombay meri jaan Rafi: Aye dil hai mushkil jeena yahan Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan Geeta: Aye dil hai aasaa jeena yahan Suno mister, suno bandhu, yeh hai Bombay meri jaan Rafi: Aye dil hai mushkil jeena yahan Zara hat ke zara bach ke, yeh hai Bombay meri jaan