Mohammad Rafi

Mohammad Rafi - Kahan Jaa Raha Hai Tu lyrics

Your rating:
kahaan jaa raha hai tu aye jaanewale (2)

andhera hai mann ka diya to jalaa le

kahaan jaa raha hai tu aye jaanewale

kahaan jaa raha hai



yeh jeevan safar ek andha safar hai (2)

behekna hai mumkin bhatakne ka darr hai (2)

sambhalta nahin dil ki kissi ke sambhaale

kahaan jaa raha hai tu aye jaanewale (2)



jo thokar na khaaye nahin jeet uss ki (2)

jo gir ke sambhal jaaye hai jeet uss ki (2)

nishaa manzilo ke yeh pairon ke chhaale

kahaan jaa raha hai tu aye jaanewale (2)



kabhi yeh bhi socha manzil kahaan hai (2)

bade se jahaan mein tera ghar kahaan 

tera ghar kahaan hai (2)

jo baandhe the bandhan woh kyon tod daale

kahaan jaa raha hai tu aye jaanewale (2)

kahaan jaa raha hai (4)
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Language: Estonian

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found