Manna De, Asha Bhosle

Manna De, Asha Bhosle - Abhigyaan Shaakuntal lyrics

Your rating:
pranay virah aur milan ki katha suno saathi

abhigyaan shaakuntal sundar abhinay kala ???



sakhi hriday mein halachal kyon hone lagi

meri akhiyaan do chanchal kyon hone lagi

gaya bachapan ka raat din aaya vo aaj

tan kumhalaaye ab singaar se

paanv dabate hain yauvan ke bhaar se

koi kaanon mein gun gun gun gaane laga

dekho bhanvara bhi hamako sataane laga

dank maare kyon jor

mat kar itana shor

koi aayega teri pukaar se

paanv dabate hain yauvan ke bhaar se



kanv suta priy shakuntala nahin aanchal saki sambhaal

ruup dekh dushhyant ka haay hui behaal



ye tapasvini vo raaja phir bhi anhoni ho gayi

puurn yauvana pratham milan ki pratham drishhti mein kho gayi

raaja ne bhi ghar aur jag ki zara na ki parvaah

shakuntala ke sang kiya ban mein gandharv vivaah

kar vivaah de kar vachan

nrip ne kiya prasthaan

kintu shaapvashh bhuul gaye vo shakuntala ka dhyaan



bhuul gaye kyon de ke vachan

tan ko jalaaye biraha agan

ya chale aao, ya mujhako bulaao

darshan bin akulaaye nayan

bhuul gaye kyon de ke vachan

bhuul gaye bhuul gaye bhuul gaye

bhuul gaye kyon bhuul gaye



biraha taap se byaakul birahan

sah na saki judaayi

priyanvada ne maan ke god mein ye katha sunaayi

maan ki mamata bhari, do akhiyaan karuna se bhar aayin

pita kanv laadali shakun ko dete aaj bidaai



rone lagi aashram ke sakhiyaan saheli

rone lagi bagiya ki saathi chameli

hirana bhi roy jis ke sang zara kheli

chhod hamein aaj kahaan chali ho akeli



nayanon mein ullaas tha man mein milan ki aas

maan ke sang shakuntala pahunchi piya ke paas



badal gaye dushhyant nr^ip vidhi ka ajab vidhaan

durvaasa ke shaap vash sake nahin pahachaan



kaun ho kahaan se aa rahi ajaan naar tum

kya bataayuun jab bhulaate ho hamaara pyaar tum

pyaar kaisa pyaar? pyaar kaisa pyaar

jhuuthh bolati zabaan tum

dekh lo diya hua anguuthi ka nishaan tum

main na jaanata tumhein ye kaisa naari vansh hai

mere garbh mein tumhaare vansh hi ka ansh hai



ja apane ghar sundari khadi yahaan kyon maun

ja kalankini piya nahin to ham bhi tumhaare kaun



tuut pada aakaash, phata dharitri maan

mujhe sambhaalo god mein

piya hue agyaan
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found