Lata Mangeshkar

Lata Mangeshkar - Bhar Bhar Ke Pila lyrics

Your rating:
cho : 

aa ja ~ 

aa ja aa ja mere saaqi 

hasarat hai dil mein baaqi 

ulfat ka jaam pila ja 

jeene ka dhang bata ja 

aa ja aa ja aa ja aa ja 

aa ja~~ 



lataa: 

ye kis ne pukaara hai mujhe 

kis ne pukaaraa~ 

hai kaun talabgaar mera 

kaun hai pyaaraa~ 



samooh svar: 

saaqi main idhar hoon 

main idhar hoon 

main idhar hoon 

main paas mein baitha hoon 

aur main kadamon mein pada hoon 



cho : 

bhar bhar ke jaam pila de  -2 

saaqi bana de matavaala 

tu la la la bas bana de matavaala  -2 



lataa: 

sharaab-e-husn nazar se pilaane aayi hoon 

main ek-ek ko bekhud banaane aayi hoon  -2 

ada se naaz se abaro ke ik ishaare se  -2 

dilon mein ishq ka jaadu jagaane aayi hoon 



cho : 

bhar bhar ke jaam pila de ... 



lataa: 

nazar milaao to dil ko qaraar a jaaye 

har ek ada pe tum ko pyaar a jaaye 

uthaao jaam ke janata se kam nahi duniya  -2 

piyo piyo ke tumhen aitabaar a jaaye  -2 



cho : 

bhar bhar ke jaam pila de ... 



lataa: 

vo muskura ke nigaahen milaaye jaate hain~ 

suruur ban ke mere dil pe chhaaye jaate hain - 2 

mili hai aaj jo un ki nazar se meri nazar - 2 

to haay mere kadam dagamagaaye jaate hain 



cho : 

bhar bhar ke jaam pila de ...
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Language: Danish

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found