Ghulam Ali

Ghulam Ali - Kisi Ki Shaam-E-Saadagi Sahar Ka Rang Pa Gayi lyrics

Your rating:

kisi ki shaam-e-saadagi sahar ka rang pa gayi

saba ke paanv thak gaye magar bahaar aa gayi



chaman ki jashn-gaah mein udaasiyaan bhi kam na thin

jali jo koyi shamm-e-gul kali ka dil bujha gayi



butaan-e-rang-rang se bhare the butakade magar

teri adaa-e-saadagi meri nazar ko bha gayi



meri nigaah-e-tishnaa-lab ki sar-kushi na puuchhiye

ke jab uthi nigaah-e-naaz pi gayi pila gayi



kiza ka daur hai magar wo is ada se aaye hain

bahaar darshan-e-hazin ki zindagi pe chha gayi
Get this song at:
bol.com
amazon.com

Copyrights:

Author: ?

Composer: ?

Publisher: ?

Details:

Language: Estonian

Share your thoughts

This form is protected by reCAPTCHA and the Google Privacy Policy and Terms of Service apply.

0 Comments found