Anuradha Paudwal
Anuradha Paudwal - Zindagi Is Tarah lyrics
Your rating:
Zindagi is tarah se lagne lagi Rang ud jaaye jo deewaaron se Ab chhupaane ko apna kuch na raha Zakhm dikhne lagi daraaron se Main tere jism ki hoon parchhaai Mujhko kaise rakhoge khud se judaa Bhool karna to meri fitrat hai Kyoon ki insaan hoon main, nahin hoon khuda - 2 Mujhko hai apni har khata manzoor Bhool ho jaati hai insaanon se Ab chhupaane ko apna kuch na raha Zakhm dikhne lagi daraaron se Jab kabhi shaam ke andheron mein Raah panchhi jo bhool jaate hain Voh subaah hote hi milon chalkar Apni shaakhon pe laut aate hain - 2 Kuch hamaare bhi saath aisa hua Hum yehi keh rahe ishaaron se Zindagi is tarah se lagne lagi Rang ud jaaye jo deewaaron se Ab chhupaane ko apna kuch na raha Zakhm dikhne lage daraaron se