Anandmurti Gurumaa
Anandmurti Gurumaa - Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki lyrics
Your rating:
Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki Naamdev ne pakaayi, roti kutte ne utthayi/uthayi Piche ghee ka katora liye jaa rahe Bole rukhi to na khao, thodha ghee to lagaao Bole rukhi to na khao, thodha ghee to lagaao Roop apna kyon mujhse chupa rahe Tera mera ik roop, phir kaahe ko huzur toone shakal banaayi hai suaan ki Mujhe odhni di insaan ki Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki Nigah meera ki nirali, peeke zehar pyaali Aisa girdhar basaya har shvaas mein Aaya jab kala naag, boli mere dhanya bhaag Prabhu aaye aaj saamp ke libaas mein Aao-aao balihaar, kaale krishan muraar Aao-aao balihaar, kaale krishan muraar Badi kirpa hai kirpa-nidhaan ki Mein ehsaanani hoon tere ehsaan ki Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki Noor uska nirala, kiya dil mein ujala Aisa gyaan ka deepak jalaa liya Nazdik aur door, dikhe hajar-hazoor Nazdik aur door, dikhe hajar-hazoor Dekhi jhoom-jhoom jhankiyan bhagwaan ki chooka janam ka pher, toota bandhan ka pher chooka janam ka pher, toota bandhan ka pher Badi kirpa hai satgur mahaan ki Mein ehsaanani hoon tere ehsaan ki Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki Thanks to Ashish