Anandmurti Gurumaa
Anandmurti Gurumaa - Aisi kari gurudev kripa lyrics
Your rating:
Guru kirpa ke bina adhyatmik jagat mein chalna mushkil hai, tabhi to Kabir Sahib kehte: "Kabira te nar andh hain, guru ko kehte aur Hari ruthe guru thor hai, guru ruthe nahin thor" Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa.................. Mein bhatak rahaa din raat sadaa Jag ke in haar-bihaaran mein Sapne sam jagat dikhaaye mujhe Mere chanchal man ko modh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa.................. Koi shesh mahesh ganesh ratey Koi pooje peer paigambar ko Sab panth aur granth chudha kar ke Ik ishwar syon chit jodh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa.................. Koi jaaye banaaras vaas kare Koi dhoonde mathura nagri mein Jag vyaapak roop dikhaaye mujhe Mere bharam ka bhanda phodh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa.................. Kya karoon mein apne guru ko arpan Koi vastu nahin teeno lokon mein Brahmanand samaan na hoye koi Dhanman ik laakh karodh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya Aisi kari gurudev kripa.................. Thanks to Ashish